Surah baqarah padhne ke fayde
Surah baqarah ke aakhari 2 aayate padne ke fayde.
- Jo shaqs Sure baqarah ki aakhari 2 aayate rat ko padlega wo har Shar aur makar se mehfooz rahega.
- Sure baqar ki akhari 2 aayate jis ghar me padi jati hai, us ghar me 3 din tak shaitaan ghar ki kareeb nahi ayega.
- Rat sone se pehle sure baqar ki aakhari 2 aayate padne wale har aafat se mehfooz rehta hai.
- Sure baqar ki aakhari 2 aayate Jadu ki asar kam kanrne k liye taseer hai.
- Jis Ghar me 3 raato takk sure baqar padi jati hai us ghat se shaitan bhag jata hai.
- Sureah baqarah ki Akhari 2 aayat padkar jo hazat mange puri ho jati hai.
- Jo shaqs ye Akhari 2 aayate padega, use mangi hui cheej jarur di jayegi.
- Suratul baqara arsh k niche se khas khajane se najil hui hai.
- Rasool (s.a.w) ko di hui khas toufa me se surah baqar dusara hai(akhari 2 ayate).
- Jo shaqs ise padne ki aadat banalega use wo 2 ayate kafi hai.
ek hadees me ye rivayat hai ke, ek aisa darwaza jise aaj tak nai khula tha us darwaje se ek khas allah ke tarafse farishta jameen pe sirf in 2 ayat ke fazilate bayan karneke liye aya tha.
Hazrat abdullah ibne masood razi allah anhu se rivayat hai ke, rasool allah swallallahu alaivassalam ka irshad hai, surah baqar ke akhari do aayate (aamanaraool) se katme tak jo shaqs rat ko padlega to wo do ayate uske liye kaafi hain. aur wo har shar aur makar se mehfooz hoga.
Ek hadees me ye hai ke sure baqarah ke aakhari do aayate jis gharme padi jati us gharme 3 din tak shaitan us ghat ke kareeb na ayega.
Aur bi bahoot sare hadees me bahot fazilate bayan ki gaye hain. Aap isko roz padne ki aadat bana sakte hai, taaki aap bi iske fayda le sake.
Comments
Post a Comment