6 sifat ka muzakra in hindi
Allah
taala ne Zindagi di hai, Akhirat banana ke liye. Aur akhirat banegi Nabi wali
mehenat se. Aur
is mehanat me 6 sifaat hai.
Ye
6 shifaat pura deen to nahi, lekin ispe mehanat karenge to hame Deen pe chalna
aasan hoga.
Aur
ziske Zindagi me Deen hoga allah taala usko dono jahan me kamiyab karenge.
1. Imaan: Pehli
shifat hai iman
Iman
ka bol hai Laa-ilaaha-illallah, mohammhammadur rasool
Tarjuma: Allah taala ke alawa koi maabud nahi, aur mohammmed(s.a.w) uske rasool hai.
Imaan ka maqsad hai, hamara dil ka yakeen
sahi hona, aur Allah taala ka hone ka yakeen Hamare dil me aajaye
aur
gairullah ka hone ka yakeen hamare dil se nikal jaaye.
Is
yakeen ko haasil karne ke liye 3 line ki mehnat jaroori hai.
a. Dawat:
Kamil Iman ki ummat me chalfir kar Dawat dena
b. Mashq:
Allah k qudrat pe gour aur fikr karna
c. Dua: Iman ke
haqikat ko Allah se ro ro kar dua’on k jariye mangana ke “ aye allah muje Iman
ke haqiqat ata farma”.
Dusari shifat hai, Namaz
2.Namaz: Namaj
ka maqsad ye hai ke, hamari 24gante wale Zindagi Shifat aur Salam pe aajaye
Shifat
ka matlab hai Aadat aur salam ka matlab hai namaz.Yaani
jis tarah ham namaz me Allah ke huqm aur nabi ke tareeke par paband hote hai
usi tarah, hamare zindagi allah ke huqm aur Nabi(s.a.w) tareeke par aajaye.
Is tareeke ko haasil karne ke
liye 3 line ki mehnat jaroori hai.
a. Dawat: kaamil Iman ke ummat me chalfir kar dawat deena
b. Mashq: Namaz ke jahir baton malum karke ine apni Namaz
me paida karna.
·
Namaz ka zahir bat ye hai ke, wazu se lekar salaam tak
tamaam masloon ko sikh kar adaa karna.
·
Jab ham Namaz pade to is dyan ke sath pade ke, Allah
hame dekh rahe hai aur ham Allah ke samane khade hai.
c. Dua: Namaz ka haqiqato ko dua’on ke jariye Allah taala
se ro ro kar mange ke “aye Allah hame bi maqbool namaz ki toufiq ata farma.
Tisari shifat hai, ILM aur
Zikr
3. Ilm aur Zikr:
Ilm ka maksad ye hai ke, hamare andar tehkikaat ki jajba aajaye. Ham Nabi ke amaal kare uske andar dekhe ki Allah ka huqoom aur nabi ka tareeka kya hai.
Aur zikra ka matlab ye hai ke, ham 24 ghante ‘Allah’ k dyan nasesb ho jaye.
Iske liye 3 line ke mehnat zaroori hai.
a. Dawat: Ummat me chalfirkar Khub Zikr ki fazilat bayaan karke unhe daawat de.
b. Mashq: Zikr ka maksad ye hai ke, ham Quran ka tilawat kare aur Quran ko sikhe aur sikaye. Aur sath me 3 tasbeeh ke pabandi kare,
100-100 martaba 3rd kalmia, Astagfar aur Darood shareef sath me masnoon dua ki bi ehtimaam kare.
c. Dua: zikr ki haqiqat ko Allah se ro-ro kar mangana ke aye Allah hame bi tere zikr karne ki toufeek ata farma.
4. Iqrame Muslim: Iqrame muslim ka maqsad ye hai ke hamare dilo ke andar jod paida ho jaye, ham apne haq ada karete hue dusaro ka haq bi puch kar adaa kare.
ham bado ke izzat aur choto ko shafaqat aur ulema-e-deen ko qadr kare.
Iske liye 3 line ke mehnat zaroori hai.
a. Dawat: hame Ummat me chalfirkar Iqram ki dawat dena, aur hame apne aadat aur aqlaaq ko sabse achha banana ki koshish karna.
b. Mashq: Aas pados walo ki Khair Khairiyat puchte rahe aur sabse mohabbat kare.
c. Dua: Dua ke jariye allah se ro-ro kar mangana. Ke aye Allah hame bi dusaro ka iqraam karne wala bana de.
5. Iqlaase Niyat: Iqlaase niyat ke maqsad ye hai ke, Ham jo bi aamal kare sirf Allah ke waste kare, dusaro ko dikhave ke liye na kare. Aur Allah Tamaam aamal me se vahi aamal ko qubool karte hai, jo khas uske liye kiya gaya ho.
Iske liye 3line ki mehnat zaroori hai.
a. Dawat: Ummat me chalfirkar Iqlaase niyat ka daawat dena.
b. Mashq: Iska mashq ye hai ke shuru me bich me aur aakir me ye gour karna ke ham jo b amaal karrahe hai kiske liye kar rahe hai.
c. Dua: dua’on ke jariye ro-ro kar mangana ke tu hame har nek amal khalis tere liye tere raza ke liye iqlaas ke sath karne ki toufeeq ata farma.
6. Daawate tablig/ Daawate Islam: Daawat tablig ka maqsad ye hai ke hamara Jaan maal aur vaqt Allah Ke raste me rahe.
kyun ki hamare jaan maal vaqt Allah ki amaanat hai.
Is Niyat ke liye 3 line ke mehanat zaroori hai,
a. Daawat: Ummat me chalfirkar daawat deena
b. Mashq: Allah ke raste me chale, deen ke baate sikhe. Gharme kitab taalim kare, mohalle me deen ke baate bataye.
c. Dua: Allah se roo ro kar duaon ke jariye mangana, Allah hame b apne deen ke raste me qubool ata farma. Hame bi deen ke raste me chalne ke aur deen ke kaam karneki toufeek ata farma.
Laayani baton se bachana: Farhej ke tour par laayani yaani fisool baton se bachana hai. Fisool baaten aur fisool kaamo se bachna hai taaki hamari nekiyaan ki hifazat ho.
Allah taala hame kehne sunane aur parne se jada uspe aamal karne ke toufeeq ata farmaye.
Dua: Subhahanallahi
vabihamdi, subhahaan kallahumma vabihamdi va-nashadu allah illallahu
va-nastagfiruka va-natubu ilaihi;
Subhahaan rabbika
rabbil izzati, Amma yashifuna va-salamuna aal mursaleen valahamdulillahi rabbil
aalameen.
Comments
Post a Comment