Skip to main content

Posts

Showing posts with the label 6 sifat

6 sifat ka muzakra in hindi

6 sifat ka muzakra in hindi  6 sifat ka muzakra 1.   Iman 2.   Namaz 3.  Ilm aur Zikr 4.   Iqraame Muslim 5.   Iqlaase Niyat 6. Dawate tablig/dawate islam Aur Parheej tour par laayani yani Fisool baato se bachana.   Allah taala ne Zindagi di hai, Akhirat banana ke liye. Aur akhirat banegi Nabi wali mehenat se.   Aur is mehanat me 6 sifaat hai. Ye 6 shifaat pura deen to nahi, lekin ispe mehanat karenge to hame Deen pe chalna aasan hoga. Aur ziske Zindagi me Deen hoga allah taala usko dono jahan me kamiyab karenge. 1.    Imaan: Pehli shifat hai iman Iman ka bol hai Laa-ilaaha-illallah, mohammhammadur rasool  Tarjuma:   Allah taala ke alawa koi maabud nahi, aur mohammmed(s.a.w) uske rasool hai.     Imaan ka maqsad hai, hamara dil ka yakeen sahi hona, aur Allah taala ka hone ka yakeen Hamare dil me aajaye aur gairullah ka hone ka yakeen hamare dil se nikal jaaye. Is yakeen ko haasil karne ke liye 3 line ki mehnat jaroori hai. a.   Dawat: Kamil Iman ki ummat me chalfir kar Dawat dena b.