❤Information about Islam:
Allah:
Allah ek hai, iska koi shareek nahi, uske alawa koi ibadat ke laayak nahi, hamesha se hai, hamesha rahega. sare maqluk usike paida ke gaye hue hain. wo sab ko roji deta hai. vahi marta hai, vahi jinda karta hai. Allah taala bada meharbaan hai. wo badi taqat aur quvat wala hai.
Mohammed swallallahu alaihi wassalam:
Wo allah taala ke khaas bande hai, aur uske mehboob hain. aur akhari Rasool hain. unke bad koi naya nabi na ayenge Allah taala ke baad maqlook me nabi sabse afjal aur bujurg hain. tamaam insan aur innat ke liye AAP nabi bana kar beje gae hain. inko allah taala ne bedari ki haalat me jism va jaan ke sath eek hi raat me makka se baitul muqdas, vaha se satve aasmaano aur jaha tak manjur ho le gya tha jannat va dhojak ki sair karayi thi. isko mehraj kehte hain.
Quran majjid:
Allah taala ka kalaam hai. Allah taala ne jibrel alaisallam ke jariye isko hamare nabi swallallahu alaihi vassalam par utara hai. iske alawa tourat, Injil, Jabur hazrat musa alaihi vassalam, hazrat ibrahim alaihi wasalam ke sahife aur jitni kitabe Aasman se utari hai wo sab sachhi hain, lekin Qayamat tak amal sirf quran majjid par hi hoga.
Fariste aur Jinnat:
Fariste:
Allah taala faristo ko ek maqlook noor se paida ki gaye hai, inko fariste kehte hain. Allah taala ne inko ek muqtaleef kaamo par laga rakha hai, magar wo hamare najaro se gayab hain, wo Allah taala ki jarasabi nafarmani nahi karte.
Jinnat:
Jinnat ko ek maqlook aag se paida kiye gaye hain. ye hamare najaro se gayab hain. Inme neek, bad, musalman, kaafir, aurat aur mard sabi hote hain. aur inki aulaad bi hote hain.
kaja va kadr:
Allah taala ne tamaam insan ko paida karne se pehle unke bareme sab kuch tay kar diya hai, uskiko ham taqdeer va maqaddas kehte hain, iski sahi kaifiyat allah ko hi maalum hai. iske bareme akida hai ki, jo cheej milne wali hoti hai wo cheej hame akida mil jayegi. aur jo cheej hame milne wali nahi rahti wo hame kuch bi kare nahi milegi.
Sahaba karam(R.A):
Ye sab ke sab mohammed sallallahu alaihi wasallam ke sache aur farmabardar sachhe sathi the. wo sab huzoor(s.a.w) ke itta-at aur farmabardari ki hai. unse Allah taala aur rasool(s.a.w) kush hain, isiliye ham unki mohabbat ko Iman ka hisa samjte hain.
Qayamat aur uske alamat aur aalme aakhirat ke silsile:
Qayamat kaa aana yakeen hai, fariste ke aana, ruh ka kabja hona, Munkeer Nakeer ka aana aur sawal jawab karna, marne ke bad jinda hona, khuda ke samne haajir hona, hisab kitab iya jaana, Aamal ka toola karna, jannat aur uski tamaam nyamate va rahaten, dhojak aur uki tamaam musibate aur taqleefe,
haq taala ka deedar aur wo tamaam chije jinki khabar AAP(s.a.w) ne di hai. isi tarah qayamt ke kareeb dajjal ka nikalna, hazrat Isa(alai) ka tashreef laana, yajuj majuj ka nikalna, uraj ka magreeb se taluk hona ye nishaniyo ke khabar hazrat sallallahu alaihi wassallam ne di hai.
Comments
Post a Comment